Thursday, June 26, 2008

PARODY-3... Dil to pagal hai

No offences to ppl who liked this movie...i really hated it....iska poora concept misleading sa laga tha...i have always believed in mature and intelligent love...not the filmy kind of pyaar which was shown in this movie...
aisa hi ek idea present kiya hai is film ki ek scene ke parody ke roop mein....where karishma and Shahrukh are talking after the scene where karishma tried to outclass madhuri in dance,due to her jealousy...
comments and suggestions again most welcome :)

nisha: rahul,main bahut buri hoon.maine jo kiya,mujhe nahi karna chahiye tha.tumhari khushi mein meri khushi honi chahiye par main puja se jalne lagi.

rahul: nahi na nishaaa...tum to..hheyyy...bahut achhi ho.meri sabse achhi dost.tum buri ho hi nahi sakti.

nisha: fir tum us puja pe lattoo kaise ho gaye?kya wo mujhse zyada sundar hai?mujhse behtar dance karti hai?aisa kya rahul??

rahul: nahi na nishaaaa....dil to pagal hai na.pagal kabhi sahi decision le hi nahi sakta.achhi to tum hi ho,lekin is dil ne use choose kar liya.

nisha: kyon rahul,akhir kyon?

rahul: wo puja ne mohabbat ki aisi philosophy batayi mujhe.ki upar waale ne sabko jodiyon mein banaya hai.har insaan ke liye uska ek jeevan saathi hai.

nisha: fir sex-ratio itna kam kyon hai rahul?

rahul: pata nahi,shayad puja galat ho.vaise bhi ye uske dil ka kehna hai...aur...hmmmmmm....dil to pagal hai naa??vaise ek doosra point of view ye bhi hai ki sabke jeevan saathi opposite sex ke nahi hote

nisha: mujhe unse kya?maine to tumse pyar kiya tha par tumne puja ko apna liya.mera to dil toot gaya.

rahul: isme bhi galti puja ki philosophy ki hai.jab maine usse poochha ki main us ladki ko pehchanoonga kaise?kya wo mere liye haath mein gulab liye khadi hogi?kya use dekhke dil mein kuchh kuchh hone lagega?badal garajne lagenge ya bijli chamakne lagengi?...

nisha: to usne kya kaha rahul?

rahul: puja kehti hai ki upar waala ek ishara dikhata hai jise hume sahi dhang se interpret karna hota hai.jaise use mera ek tune pasand aata tha aur 2-3 baar aisa hua jab usne is tune ko suna par mujhe dekh nahi paayee.bas wo samajh gayi ki use mujhse pyar ho gaya hai.

nisha: aur tum kaise samjhe rahul?

rahul: mujhe bhi to ishaare hote they na?yahaan wahaan wo dikh jaati thi,uska cake mere paas aa gaya aur yahan tak ki wo ek achhi dancer nikli. aur us dukaan mein jab bina pant mujhe uske saamne aana pad gaya....yehi to pyaar hai nishaa....upar waale ka ishara hai

nisha: main buri nahi rahul,tum bure ho...aur pagal bhi...dil to pagal hai rahul,shayad isiliye hume apne dimaag se kaam lena chahiye,pyaar ke maamle mein bhi...par tum nahi samjh paaye...tum dono paglon ko tumhara pyar mubarak

(in the background).....
itne to aasaa nahi,is jeevan ke raaste,
asal mein har insaa bana,hai zimmedariyon ke vaaste...

4 comments:

Pallav said...

dude.. dunno wat u r tryin here, but seriously mazaa nahi aaya..
it leaves a bad taste in the mouth yaar.. try stickin to ur orignal creations, u r way better at those, seriously...

Sajal Ehsaas said...

I think I already answered it in an another post of mine...just an addition...this indeed is an ORIGINAL work of mine,so that was a technical mistake on ur part...

ankita said...

m njoyin as i m readin more n more of ur posts..

Sajal Ehsaas said...

:)