Saturday, June 21, 2008

PARODY-1.....aaj khush to bahut hoge tum

Back to my blogging ways...after a significant break...recently I tried my hand at something,which I really found to be challenging and innovative..its a special kind of parody where any scene from a movie is presented in a different fashion :)
The source of inspiration was my all special ORKUT...i really enjoyed it and will like to share my works...I havent written anything since about a month in this genre...hope it gets me started again...this is my first effort :P


Deewar mein ek bahut famous scene hai....jab amit ji pehli baar mandir jaate hai aur unki maa
beemar hai....assume that is film ko "jai santoshi maa" ke director ne banaya hota....unhone isliye, kyonki unke filmo mein devi-devtaaon se face to face conversation hua karta tha....to amit ji ki baatein sunkar bhagwaan darshan dete hai aur unki bahas kuchh yun hoti hai....


amit: aaj khush to bahut hoge tum,khush to bahut hoge.jo aaj tak tumhari mandir ki seediya nahi chadaa,jisne aaj tak tumhare aage sar nahi jhukaya,jisne aaj tak tumhare saamne haath nahi jode wo,aaj tumhare saamne haath failaaye khadaa hai.khush to bahut hoge ki main haar gaya.

god(darshan dete huye) :ye to tumse pata chal raha hai ki tum pehli baar yahaan visit kar rahe ho,varna itna daily turnaout hota hai usme tumko alag se kya pehchaanoonga main.vaise roz mandir mein aane waale 2 hazaar logo ka khyaal gar mujhe rakhna hai to ye sochne ki fursat nahi hai ki tumse jeet gaya ya haar gaya.jao bhaai mere busy schedule ko disturb mat karo.

amit: mujhe nahi pehchante.Indai ke sabse bade superstar ko nahi pehchante tum?

god: nahi baba,movies kabhi dekhi hi nahi maine,kisi superstar ko kya pehchanoonga.haan jo log regularly yahaan aakar film hit hone ki dua maangte hai ,unke baare mein assume kar leta hoon ki film se honge ye namoone.

amit: disturb na karoon,aayen? ... tum jante ho ki jis waqt main tumhare saamne khadaa hoon,wo aurat,jiske maathe se tumhare chaukhat ka pathar ghis gaya,wo jispe zulm bade to uski puja badee,jo zindagi bhar khud to jalti rahi magar tumhare mandir mein deep jalaati rahi,wo aurat aaj zindagi aur maut ke beech sadak par khadee hai.

god: mujhe behad afsos hai par ek baat jaan lo.chaukhat ka pathar ghisne mein hazaaro aur logo ka contribution hai,saara credit apni mom ko mat do.vaise is haalat mein tumko apni maa ke paas hona chahiye aur tum yahaan chale aaye?

amit: haan tum to khush hoge ki main haar gaya.par ye tumhari haar hai.kaun sa zulm,kaun sa pap kiya tha usne.kya uska kasoor ye hai ki usne mujhe janm diya,ye ki wo meri maa hai aur main usse pyaar karta hoon .ye kis gunaah ki sazaa di ja rahi hai use?

god: dekho ya to unke bilogical mechanism mein kuchh gadbad aayi hai ya fir ye micro organisms ki kartoot hai.yakeen karo mera,tum jaise bade bade insaano ki dekh rekh mein kar nahi paata to un microscopic jeevo ko kya control karoonga.mujhse naraz mat ho,haan meri bhakti karne ke liye tumhara hamesha swagat hai.

amit:hey bhagwaan.ye kis gunaah ki sazaa di ja rahi hai hume.hum ghar se beghar ho gaye,mera baap jeete ji mar gaya,meri maa suhagan hote huye bhi vidhwa ka jeevan jeeti rahi.kyon??

god: dekho bhaai.'ek chhoti si baat' batata hoon...ek kahanai ke roop mein.ek baar ek aadmi doob raha tha,use bachane kai local log aur bachaav kaary waare wahan se guzre.par uski zid thi ki use apne bhagwan pe bharosa hai ki wo use bachane aayenge.par ant mein wo mar gaya aur jab upar jaake bhagwan se mila to bahut naraz tha....tab unhone use samjhaaya: "tumko kya lagta hai,tumhe bachane un logo ko kisne bheja tha?"amit: aaye? kya matlab?god: bhagwan usi ki madad karenge jo apni help karega."the best place to find a helping hand is at the end of ur arm" yahaan halla karke tum apni maa ki madad nahi kar rahe,tumhe is waqt unke saath hona chaiye.unhe 'dua' ki nahi 'dawaa' ki zaroorat hai

aur isi ke saathAmit ji 'angry young man' se 'responsible young man' ban jaate hai....

comments and suggestions are most welcome :)

2 comments:

Ragini said...

it was awsm..... bahut pyara hai..... maza aa gaya padh ke... keep posting more dear...

sajal said...

thanks...chaliye kisi ko to pasand aaya :P

vaise I 'have' posted more... :)